National song
Pakistan Zindabad
Aao baccho sair karayain tum ko Pakistan ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Mashriq mein Bengal sunehra her ik taraf haryala hai
Yahan ka percham sonay aur chandi mein tulnay wala hai
Sailaboan nay seencha is ko tufano nay pala hai
Yahan ka baccha baccha apni qaum pay marnay wala hai
Yaheen Siraj-ud-Daula nay duniya apni qurban ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Deikho ye hai Sind yahan zaalim Dahir ka tola tha
Yaheen Mohammad Bin Qasim Allah 0 Akbar bola tha
Tuti huee talwaroan mein kya bijli thi kya shola tha
Hindi kay kuchh Ghazi thay lakhoan ka lashkar dola tha
Yahan kay zarray zarray mein ab daulat hai emaan ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Ye apna Punjab saja hai haray bharay darbaroan say
Jaga diya Iqbal nay is ko Aazadi kay naaroan say
Is kay jawano nay khela hai apnay khoon kay dharoan say
Dushman tharra jatay hain ab bhi in ki lal karoan say
Qadam qadam per dhaag jami hai yahan kay sheir jawan ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Ye ilaqa sarhad ka hai is ki nirali shaan yahan
Thokar mein zalzalay yahan hain muthi mein tufaan yahan
Sar pay kafan baandhay phirta hai deikho her ik pathan yahan
Qaum kahay to abhi laga dain baazi ye sub jaan ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Aik taraf Khyber deikho sarhad ki shaan barhata hai
Sheir-e-khuda ki qu'at ka afsana ye dohtara hai
Aik taraf Kashmir hamay jannat ki yaad dilata hai
Ye Ravi aur Atak ka paani amrit ko sharmata hai
Pyaray shaheedoan ka sadqa hai daulat Pakistan ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad